Aik Anaar
Aik Anaar 100 beemaar:
Aam tor par ye mahawara is waqt istamal kia jata hai jab cheez ek ho or is k talab ghaar boht say hon.Mumkin hai is ka ye mafhoom bhi durast ho. lekin tabi ( phisicaly) nukta nazar say is ka mafhoom ye hai ke Annar(Pomegranate) dar hakeekat 100 tarha ke mareezo ko faida (benefit) pohchany ki khusosiat rakhta hai.
OR Anaar (Pomegranate) ke tibi ( phisicaly ) osaaf jan'ny ke baad ye baat 100 % sach malum joti hai.
Anaar ( Pomegranate) ke faidy (benefit) :
Anaar k bohat say fawaid (benefits) shayad abhi insan wakif na hosaka ho. bher haal jo khawaas saamny aachuky hain in may say kuch ke baary may hum asaan(simply) or aam zaban may aap ko bataty hain.
Aik Anaar (Pomegranate) k andar takriban 840 daany hoty hain sirf ye daany hi nahi, bal k is phal(friut) ka har hisa mufeed tibi(phisicaly) khawaas ya kisi na kisi kism ki afaadiat rakhta hai
Is ke ras (juice) may , motaapa kam karny ki khaasiat green tea say bhi ziyada hai.
Insani jisam may kuch Hadiya (bones) naram bhi hoti hain. in ka rang bhi puri trha safed(white nhi hota unhy ( cartilage bones) kaha jata, kabhi kabhi kisi bemaari ,ya insan ke jismani nizaam me kisi kharabi ki waja say ye hadia (bones) had say ziyada naram par jati hain , y galny lagti hain, Anaar (Pomegranate) may is Amal ko rokny ki salayat mojood hai
Anaar may (Pomegranate) may khoon (blood) k surkh zarraat ya (hemoghlobin) ko barhany , Or blood presher , colistrol ko kam karny ki salahyat hai
Anaar k ras (juice) say daanto (teeth) par jamny wali mel (darty) saaf hojati hai, mashoory or daant strong ho jaty hain
Israel may kuch tajarbaat ( experiments) kiye gaye hain, jin say pata chala hai k anaar(Pomegranate) say (cancer) ki rok thaam may madad li jaa sakti hai, ye cancer ki waja say tabha ( distroy) hony waly khulyaat (cells) ki taadaad ko barhany say rokta hai.
Anaar ka chhilka boht s dawayo(medicen) ki tayari may use hota hai . Jin say nazar ki kamzoori , Kharish , pet ke keeron( insect) , ashaal , lose motion, bawaseer or boht si bemaariyo (:diseases) ]
Hamhy in ke baary may ziyada say ziyada information haasil karni chaye or in say benefit bhi lena chaye hai.....
App k tawun ka Shukria
Comments
Post a Comment